What is Website Pinging in Hindi – वेबसाइट पिंगिंग क्या हैं इसके फ़ायदे और नुक़सान इसकी पूरी जानकारी हिंदी में ।

27

Namaskar Dosto anytechinfo par rozana technology se judi shaandar jaankari milti hai. ham yahaa aapko Blogging ke baare me bhi batate hai. aaj ham aapke liye ek bahut usefull post laya hu, What is Website Pinging jo aapke blogging carrier me bahut kaam ayega |

Ye Post hai Website Pinging ke baare me.. Agar Aap blogging me naye ho ya fir aap blogging sikh rhe hai to aapne Website Pinging ke bare me jarur suna hoga, aapne kai sites par Website Pinging ke bare me janne ki koshish bhi ki hogi. but aapko samajh nhi aaya hoga |

To ye Post aapke liye hi hai, aaj ham aapko Website Pinging ke baare me puri jaankari denge jo aapke liye bahut usefull hogi, to chaliye shuru karte hai, Website Pinging ke baare me aapne kai baar padhaa hoga iski defination kai baar alag alag bataayi jati hai, kai baar agar ham kuch alag alag blog par padhe to Confuse bhi ho sakte hai | yaha tak ki kai bloggers ne to Website Pinging ko faltu bhi bataya hai Lekin ye Bilkul faltu nahi hai Aaiye jante hai Website Pinging ke baare me full information |

about Pinging

Website Pinging Kya Hai [ What is Website Pinging Full Guide in Hindi ]

Jaisa ki maine aapko bataya ki Website Pinging ki paribhasha yani defination alag alag blogs par different hai. Lekin Agar me aapko meri taraf se ek sarthak paribhasha batau to Website Pinging Google ko apne naye Post ke baare me update karne ka tarika hai, yani Website Pinging se blog or blog post google me jaldi index hote hai |

vaise to kai logo ke hisaab se Website Pinging or Backlink making ek hi hai lekin isme jamin Aasman ka fark hai. Backlink ke liye hame Gaust Post, Commenting judi chize karni padti hai lekin Pinging ke kai tools internet ke market me available hai jinke jariye ham apne blog or usko rank karaa sakte hai |

Pinging me ham kisi Tool ki madad se apne blog ki link ya apne blog post ki link usme add karte hai in sites ka DA or PA better hota hai inse hame Backlink milti hai or isse yahoo or google jaise search engine ko hamare blog ya use post me badlaav ke baare me pataa chalta hai,

Pinging se hamari site ko Dofollow Backlink prapt hoti hai or isse hamari site grow hoti hai sath hi hame accha traffic bhi milne laGta hai, isse hamari site ko unnati karne me aasani milti hai, saral bhasha me kahe to Pinging hamare blog ke update ke baare me google ko suchit karne ka ek best tarika hai |

Website Ping karne ke Fayde [Plus Points/Advantage of Ping a Website in Hindi]

1. Traffic ke Liye :: Pinging Sites ka Sabse best or Important fayda hai accha traffic prapt hona. kyuki agar blog par accha traffic hai tabhi sab kuch hai varna kuch nahi, Kai Pinging Website yani tool aise bhi hote hai jinpar blog ki Link Ping karne par vah uske title or information ko google pe or Kisi Directory par Show karte hai jisse Interested Visitor hamare Blog par visit karte hai or hame Traffic prapt hota hai,

2. Search Engine ko Blog ke baare me Update karna :: Dosto, agar ham blog chala rahe hai to aisa to hai nahi ki ham blog ko banaa kar bas chod dete ho ham uspar kaam karte hai or update karte rahte hai |

Aise me Blog ko Google ya fir Any search engine ko update karna padta hai, Iske liye ham Sitemap Submit karte hi lekin Sitemap se Blog ki update ke baare me 24 se 26 ghante me pataa chalta hai |

Lekin agar ham kafi kisi Tranding topic par likhte hai to Hamara Post baad me Google ke paas pahuchta hai aise me hamara kafi matra me traffic ka nuksan hota hai yani loss hota hai,

Isliye hame Apne Post ko or Blog ko ping karna bahut hi jaruri hai kyuki isse hamare blog ke post or blog jaldi se Google ya any Search engine jaise yahoo ke paas jaldi pahuch jata hai.

3. Post ko Jaldi Index karna :: Agar ham Blogging karte hai to hamare Liye Search Engine se Traffic aana bahut jaruri hota hai kyuki agar hanare Blog par Search Engine se Traffic nahi aata to Blog ka koi Advantage hi nahi hota.. So, Ye bahut jaruri hota hai,

Google se accha Traffic prapt karne ke liye hame Jyada se jyada Post Google par Index karvaane hote hai Iske liye Ham kai saari tricks try karte hai. inme se ham Googke sitemap par bhi “Fatch as Google” ka use bhi karte hai lekin inse jyada kuch nahi hota.

Isliye hame Apne blog ya Blog post ko Ping karna jaruri hai. Kyuki Ping se Google ko hamare post ke baare me pataa chalta hai isse Post bahut fast Index hota hai. ye pinginge mera khud ka Experience hai. Dosto Me Ummid karta hu Aap Pinging or Pinging ke Fayde ke baare me sab jaan gaye honge. ab aap Pinging jarur karenge isse bahut fayde hai |

27 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.