AMP Kya Hai or Blog Me AMP Enable Kaise Kare Yah kyon Jaroori Hai ?

20

AMP Enable Kaise Kare ? Hello Friends Google ne apne Accelerated Mobile Pages project (jise AMP ke name se jaana jaata hai) se parda utha diya hai. is open source project ka main reason mobile web ko faster banana hai. jiske anusaar google ne AMP ko complete support provide kiya hai.

in fact, Google ne february 2016, ko announce kiya tha ki wah Google search se un websites or blogs par traffic send karega jo ki AMP enable ho. so friends yadi aap bhi apne website/blog ko AMP enable karna chahte hai,

to aaj ham anytechinfo me aapko AMP kya hai or blog me AMP enable kaise kare. is baare me batane ja rahe hai. lekin is tutorial me aage badhne se pehle ham AMP ke baare me jaan lete hai ki aakhir AMP kya hai,

AMP Enable Kaise Kare

AMP Kya Hai or AMP Important Kyon Hai or AMP Enable Kaise Kare – Accelerated Mobile Page 

friends jaise ki ham jaante hai ki smartphones or mobile phones ka use dino din badhta jaa raha hai aur aise me websites ko superfast or responsive hone ki aawashykta hai. or jaise ki aaj kai websites mobile phones me slowly open hoti hai.

iska bada reason websites ka mobile phone ke liye optimized nhi hona hai. jaise ki larger graphics, complex scripts, or ads ye desktop par sahi se open hoti hai lekin mobile phones par nhi. isliye Google ke dwaara AMP ko laya gaya hai.

Accelerated Mobile Pages AMP ka use website ki speed or user experience ko content ke liye imporve karna hai. So friends isliye aaj Anytechinfo (anytechinfo) me ham aapko AMP kya hai or Blog me AMP enable kaise kare is baare me batane jaa rahe hai. so friends aaiye dekhte hai ki Blog me AMP enable kaise kare,

AMP Blog SEO ke liye kyu Jaroori hai,AMP Enable Kaise Kare ? Advantages Of AMP enable blog in SEO In Hindi

Friends jaise ki ham jaante hai ki Google hamesha se hi fast loading webpages or websites ko like karta hai. to aap samajh sakte hai ki AMP blog SEO ke liye kyon important hai. Actually AMP hamare webpages ko fast load karta hai.

jisse hamari site fast loading hone par visitors par iska good effect padega or user experience improve hoga saath hi website or blog posts fast hone se ranking bhi increase hogi. jo ki blog SEO ke liye bahut achha hoga aur is tarah se aapki website / blog ki Google me Search Ranking Increase hogi,

AMP Responsive Se Alag Kyon Hai ? AMP Enable Kaise Kare ?

AMP responsive se alag hai. iska reason yah hai ki developer website design karne me bahut se tools ka use karte hai lekin AMP me aisa kuch nhi hota. kaise ? aaiye dekhte hai.

  • Isme form fields nhi hoti.
  • Isme external javascripts nhi hoti.
  • Isme external stylesheets nhi hoti.
  • Isme inline styles nhi hoti.

WordPress Blog Me AMP Enable Kaise Kare ? – Blog Me AMP Set up kaise kare ?

WordPress me AMP enable kaise kare ? Actually aap WordPress me AMP Plugin ka use karke apne wordpress blog me AMP Enable kar sakte hai, AMP plugin ko (WordPress Creators company Automattic) ke dwaara banaya gaya hai,

Is AMP WordPress Plugin ko aap wordpress plugin directory me search karke Install kar sakte hai or apne wordpress blog me AMP enable kar sakte hai,

  • WordPress Me AMP Enable karne ke liye aapko sabse pehle, Plugin>Add New me jaana hoga iske baad Search box me AMP search karna hoga,
  • Ab AMP plugin me diye gaye Install Now button par click kare,
  • Bas ab plugin Activate Plugin par click karke install kare,

That’s it. Ab aapke WordPress Blog Me AMP enable ho gaya hai,

WordPress Me AMP Kaise Test Kare ?

Apne WordPress blog / website ko Open kare aur kisi bhi page ko load kare, ek baar page load ho jaane ke baad right click kare aur iska source code dekhe, bahut se browsers me Right click karne par view source ka option aata hai,

mai Google Chrome use kar raha hu to yadi aap bhi Google Chrome user hai to page me kahi bhi Right click kare or fir View page source me click kare. ab CTRL+F press kare or <head> section dekhe. ab yaha AMP link dekhe.

Notice kare ki yah URL? “/amp/” ke saath ho ? bas ab isme click kare. yah aapko brand new AMP-enable page ko aapke browser me open karega. aap chahe to apni kisi bhi post ke url me last me /amp/ lagakar blog ka AMP enable version load kar sakte hai,

Is plugin ke saath generic theme template provide kiya jaata hai, aap is AMP enable page ko edit kar sakte hai, So Friends is post me hamne AMP kya hai or Blog Me AMP enable kaise kare is baare me jaana. so friends yah post AMP Kya hai or Blog me AMP enable kaise kare. aapko kaise lagi hame comment ke maadhyam se jaroor bataye ।

20 कॉमेंट्स

जवाब दे

अपना कोमेंट लिखे
अपना नाम लिखे

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.